Wednesday 3 October 2012

Jurab Ki Doll

Jurab ki doll,
nakli aankhein, nakli hoth,
uski sabse pyaari dost,
khelti hai,
living room mein,
maa andar hai,
zanzeeron mein,
katl hota hai jiska din raat,
laal paisa, hare not pe,
chhap ke aata hai,
uske lahoo se, ghar chalta hai,

school waale poochte hai,
kitni earning hai?
kya profession hai?
isliye ghar mein hi padhti hai,
kya padhti hai!
kya seekhti hai!

sadak kinare mili thi,
safed makhmali kapde mein lipti,
besharma ko sharm aa gayi,
utha li,
kachre se gandi naali mein le aayi,
kehti hai,
main na khili to kya hua,
yeh khilegi,
badnaam roshni ki,
Roshni banegi,

juraab waali doll,
tab se zid lagaye baithi hai,
khilti rehti hai,
zanzeeron mein jakad kar,
mazze lete hai, shauq waale,
choote hue,
uski, nakli aankhein,
nakhli hoth,

din raat,
sajti hai,
juraab ki doll,





No comments:

Post a Comment