Sunday 25 February 2018

Humari Kuch Analog Ghadiyaan....


Raat meri Analog ghadi toot gayi,

To maine online Digital waali order kar di,

Par waqt nahi kharid paaya,


Haath mein liye tooti analog ghadi

Pure din Suraj ko Pighalte dekhta raha,

Phir Baadlo ki shaitaniyon mein,

Chupke se dekhta chaand nazar aa gaya,

Aur Ujadi analog ghadi tik tik karne lagi,

Joone lamhe naye jharoke se roshan ho gaye,



 Sardiyon ki dopaharein,

Lucknow  waale ghar ki chat par mulaqaatein,

marham dhoop mein tere haath se khaate kulfi aur anar ke daane,



Shimla ki shaamein,

teri aankhon mein dekhte doobte suraj ki thamin saansein,

Raat ko carter road pe long drive,

Aur subah subah Lodhi garden mein excercise,

Sunday ka brunch preparing teri farmaishein,

For dawaatein of yours, apne pure mohalle ko,



Holidays mein Udaipur ke umaid bhavan mein Raajshahi,

Office time mein, beech beech mein whatsapp par bhejte tujhko smile,

Carnatic music pe tere Manipuri dance ka nazaara,

Tu nashe mein acchi lagti hai, tujhe baar baar kehna,

France ke cafe mein paper napkeen par tere pairon ki tasveer bana na,

Mona lisa ki tasveer dekh ke usko tujhse compare karna,



Tooti analog ghadi ki tooti dhadkan tik tik kar dhadkati rahi,

Agle din digital lauta ke analog order kar di,


No comments:

Post a Comment