Saturday, 21 January 2012

rainbow jaise log-bagh..

kitne saare, jitne saare sitare,
utne log-bagh zameen pe,
pheeke phir bhi sitare saare ke saare inke aage,
ek dhang ke,
bina variety ke,
bore se hai yeh saare sitare,

rainbow jaise log- bagh hai,
ek duje se bilkul alag,
koi khush rehna pasand karte koi rehte sirf udaas hai,
banawat ek hai par, working and reaction alag alag,
apne apne halaat hai, apne apne tareeqe unse bhidne ke,
kisi ke straight drive hai, to kisi ke zig-zag raaste,

meetha hai kuch mein bhara hua,
to kuch ne mirchiyan phaank rakhi hai,
khuli kitaab hai koi,
to koi password se protected,

rainbow jaise yeh log-bagh,
rakhte lekin kuch common armaan hai,
aukaad chaahe kaisi bhi ho,
falak pe sab rakh paanw chahte hai daudna,
happiness waala coat pehn thoda itraana
apni aankho ke khwaab, sabko visible karana,
aur ho jaaye jab yeh sab poore to chain se sona,

rainbow jaise log-bagh,
jinki apni hi hai nayi kahaniyan,